Jhoot sirf pehli baar bolna asaan hota hai, phir mushqil aur sach sirf pehli baar bolna mushkil hota hai, aur phir asaan hi asaan hota hai.

Jhoot | Sach

Agar kisi ne tumhein dhoka diya hai, toh beshaq usko maaf kardo, lekin us insaan pe dobara bharosa karne ki bhul mat karna. Jo ek baar dhoka de sakta hai woh baar baar de sakta hai.

Bharosa

 Aaj har din ek jaisa lagta hai, Lekin peeche mud kar dekho toh kitna kuch badla badla sa lagta hai ...Waqt badalta hai, par achanak nahi, dheere dheere, haule haule,

Waqt badalta

 Meri likhi baton ko har koi samaz nahi pata, kyu ki me ahsaas likhta hoon, Aur log alfaaz padtey hai

Alfaaz

 Jo Khawab tha zindagi ka wo khwaab hi rah gaya, Ek kissa meri khani

Adhura hi rah gaya

kal bhi hum tere the aur aaj bhi hum tere hai bas Farq Itna hai ki pehle apnapaan tha ab akele hai

Farq | Fark

 zindagi mein sab kuch Kisi wajah se hota hai, Ghalat hota hai taake Hum sahi ki qeemat jaan sakein.Log badalte hain taake unke chehre pehchan sakein.

zindagi

 Achi lagne lagi hai hain ye khaamoshiya bhi... ab Har Kisiko jawaab dene ka silsila khatam ho gaya

khaamoshiya

 Kuch baton se anjaan rahena acha hain kabhi kabhi sab kuchh jaan lena bhi takleef deta hain

Anjaan

Insaan jitna kisi cheez ki chah rakhta hai utna hi usey azmaya jata hai,aur kabhi bhi mayoos na hona kyun ke agar Allah azmaish me dalta hai wahi Allah azmaish se nikalta bhi hai.

Azmaish